dhoowa bana baddua

>> Sunday, August 30, 2009

Dhoowa.....dhoowa aur dhoowa

khod rahe ho apne liye kuwa

pareshaan ho maana par pee kar bhi kya hua,

jiwan milta nahi baar.. baar

kiyo khol rahe ho swayam maut ka dwaar

sigret se nahi karo jiwan se pyaar

dost ne kaha ek kash aur yaar,

woh dhoowe ka challa hi banega maut ka haar,


gar hai koi gam ya khushi usse baat le na chupa

par youn na zindgi dhoowe main udha.

Ek kash ka saath toh hai pal do pal,

dhoowa na kar sakega tera na koi masla hal,

kha kasam dega ise peron ke neeche machal

nahi toh kal tumhara baccha

hosh sambhalte hi mangega tum se ye zahar............

Read more...

Pyaar ki sachhai

Sun kar dastaan pyaar ki tumhari chalak gayi aakhen meri kya kahoon bas itna KI~

Tum ne bahut der kar di dil ka haal batane mein use,

kya jane woh aaj tumhari jiwan sangni hoti.
kher ab usse bhulna nahi warna tumhare sache pyar ki haar hogi,

woh na hokar bhi ppas tumhare tumhar paas hogi bas band kar ke khoj lo use woh yahi kahi tumhare paas hogi.

jaanti hoon woh main nahi par tumhare pehle pyaar main salaam hoon karti kya hua ki woh aaj tumhare paas nahi kya hua use maloom nahi tum bas use pyaar karte rehna kiyoki pyaar ki kabhi haar nahi hoti,

kaash ilm hota gar toh yakeen karo tumhe milane main koi kashar na chodi hoti,

pyaar koi khel nahi jo aaj hai kal nahi ki mazak bana lo iska daav laga lo kiyo chupate ho sart ke piche is pyaar ko maan bhi lo wo sart nahi chupe hue pyaar ki gehrai thi use tum se tumhe usse pyaar tha aur yahi tumhare pyaar ki sachhai thi.

bhagoge jitna utna ye sachchi piche aayegi,
aur tumhe bahut rulaegi tum bhi
aur woh bhi bahut...pachtayegi..............................................Aur jo pyaar na karne ki jo tum ne kasam khai thi us kasham ki kasham tumhe uski yaad har pal satayegi .

Read more...

Tum bin.........

Ye zindgi kya Tum bin.....

In aakhon main nami hai Tum bin.....

Meri zindgi main kami si hai Tum bin........

Tum ho toh hai wajood mera, varna main kuch nahi Tum bin.........

In aakhon mein base ho Tum, varna ye kuch nahi Tum bin........


Is dhadkan main agar Tum nahi, toh ye dil kuch nahi Tum bin......





For you my love..............

Read more...

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP