dhoowa bana baddua

>> Sunday, August 30, 2009

Dhoowa.....dhoowa aur dhoowa

khod rahe ho apne liye kuwa

pareshaan ho maana par pee kar bhi kya hua,

jiwan milta nahi baar.. baar

kiyo khol rahe ho swayam maut ka dwaar

sigret se nahi karo jiwan se pyaar

dost ne kaha ek kash aur yaar,

woh dhoowe ka challa hi banega maut ka haar,


gar hai koi gam ya khushi usse baat le na chupa

par youn na zindgi dhoowe main udha.

Ek kash ka saath toh hai pal do pal,

dhoowa na kar sakega tera na koi masla hal,

kha kasam dega ise peron ke neeche machal

nahi toh kal tumhara baccha

hosh sambhalte hi mangega tum se ye zahar............

0 comments:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP