Ab To Aa Jaa

>> Tuesday, November 21, 2006

Kore kagaj pe, hum, unka naam likhate rahe,
‘Ab to Aa Jaa’, Ansuyo se yeh peigam likhate rahe

Sapano mein bhi wahi humko dikhate rahe,
Hum sare bazaar pyar mein, unke bikatte rahe

Apni hi parchhai ko hum, unhe samajhane kii bhool karte rahe,
Unke pyar mein hum, harr saans lekar bhi, marte rahe

Intezaar mein unke, humne, apni tamaam zindagi gujaar di,
Pata chala tab, unhone hamare hi rakeeb kii zindagi sawaar di

Ab to lagta hai, naa aane ki, unhone kasam ho jaise khai,
Gar naa aaye to, shayad maar hi dale humko, hamari tanhai

Ek sharab hi thi jeena ka sahara, usko bhi wo saath apne le gaye,
Marr bhi nahi sakate hum abb to, jalim jaate huye bhi, jeene kii kasam de gaye.

Achha ya bura kuchh maloom naa chala,
Bas jaane se unke, dil hamara, bin dhooyein ke jala

Di thi unko ikk mukkadass jageh, apne dil mein humne, Uss mandir ko bhi jaate huye, wo khandhar bana gaye
Pyare se ikk-insaan ko, wahi hai, jo bejaan butt bana gaye

Ab beithe ho, khoon se hamare, apna aashiyaan banaye
Hum dua aaj bhi karte hai, ke e-khuda unki aankh mein ikk katra bhi aansoo naa aayein

Ab to aa jaa, zindagi kii shaam hai dhall aayi,
Ab to sirf mein hoon, aur hain sirf meri tanhai.

Ab to aa bhi jaa eye ‘………’
Teri raah mein, saari zindagi hai, humne beetai.

0 comments:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP