Unke daman mein jitane kaantein thei,

>> Tuesday, November 14, 2006

Unke daman mein jitane kaantein thei,
Apni raaho pe hum bichhate chale gaye
Unke aansoo pe,
apni khushiyo khushiyo ko lutate gaye
wo saath saath chalate rahe is kadar
Hum har rah par apna dil bichhate gaye
har pal unki yaad mein
apne sapane sajate chale gaye
Inteha hui is kadar junoon-e-mohabbat ki
sabki aankho se unko bachate gaye,
Har hasin ke liye unko,
apni dil ko anshoo mein dubate gaye
armaan jab bhi jage unke,
pesh apne dadkan unko kiye gaye
saath chalte huye jab kheechha haath apna usne,
usi raah par ruswai apni karwatein gaye
baat jaane ke [marne ke] ke hamare
wo rakeebo [dushmano] se hamare, haath milate gaye
Dekh jalati chita hamari, wo muskuratein rahein,
dekh pawan mein unko hum, aansoo bahate rahe
jind thi ikk wo bhi mirje ke,
jisne apna pyar kurbaan kar, jaan chadai thi apni,
de kurbaani apne pyar ki, saath suhagne banwai thi apni
agar bewafa hona tha, to karti kaam sahiba jaisa,
baad marne ke bhi apne ishaq kaa naam jahan leta
yeh kya kiya meri rooh se ab bhi awaaj aati hai,
jo kuchh kehta hai, kyon meri jaan [use] bad-dua deta
tere pe kasa ek lafz jaan-e-nashtar chubota hai,
kya kare, itna bata do ke har ishq karne wale kaa haal aisa hi hota hai...
milege jab us duniya banae walei se,
poochenge tere baare mein, pyar karne ke baad kyon dil pathar ka tera hota

0 comments:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP