Ansoo

>> Tuesday, November 21, 2006

Kabhi dukh mein to kabhi such mein aate hai aanso
Na jaane baar baar aakar kyon rulate hai, aansoo
Jab yaad aati hai, teri bewafi, aate hai, aansoo
Jab yaad aata hai, mera pyar, aate hai, aansoo
Jab uthtta hai, dua ke liye haath, aate hai, aansoo
Jab leta hoon, saans, teri yaad mein, aate hain, aansoo
Aayine mein dekh teri soorat, aate hai, aansoo
Dekhta hoon jab un rahoon ko, chale the jin pe hum kabhi saath-saath
Dekh fir unhi raaho ko, yaad mein teri, aate hain, aansoo
Jab sochata hoon, hyon aate hai aansoo,soch yahi fir, aate hai, aansoo
Maloom hai bahut door hai wo humse, ’kyon paas nahi wo’ soch yeh, fir aate hai aansoo
Hai aaj wok hush, Rakib ka ghar aabaad kar, khush hai unki khushi mein hum bhi,
Naa jaane fir kyon, aa rahe hai aaj, fir wohi, aansoo

0 comments:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP