Wo jo kabhi dekhata tha mujhe diwanonki tarha

>> Saturday, November 18, 2006

Wo jo kabhi dekhata tha mujhe diwanon ki tarha
Nigahome uski hi jaherila ye pyala kyon hai
Wo jo kaheta tha kabhi mujhko hi duniya apni
Usaki duniya me aaj mujhape hi pahera kyon hai

Samaya hai jo sansome meri khushboo ki tarha
Yadpe uskihi judai ka ye saya kyon hai
Dhadkati hai dhadkan bhi har lamha nam se jiski
Hathme usakehi ye hath paraya kyon hai


Dekhti hu tuta hua barbad aayina-e-dil jab bhi
Har tukade har katre me bas wohi najar aata kyon hai
Janti hu ke aaj kuch bhi to nahi hu mai usaki
Phir jindagi ke har ahesaas me sirf wohi wo samaya kyon hai

Wo nasnasme daudata hai meri banke lahu.
Meri kismat me usise ye fasala kyon hai
Wo jo basata hai meri ruhme rag-e-jaan ki tarha
Sath nahi uska to jindagika ye silsila kyon hai

Ei khuda ab do mujhe jawab sab sawalonke mere
Ya mita do mujhe or khatm kardo ye ghutan
Jo nahi hai meri barbadiyonka koi asar tujhapar
To meri kismat ke faisalonpe tera haq kyon hai
Wo jo basata hai meri ruhme rag-e-jaan ki tarha
Sath nahi uska to jindagika ye silsila kyon hai.

The words of Suman

0 comments:

  © Blogger templates Shiny by Ourblogtemplates.com 2008

Back to TOP